1
a ki meri jan mein qarar nahi haitaqat-e-bedad-e-intazar nahi hai
dete hain jannat hayat-e-dahar ke badlenasha ba andaza-e-Khumar nahi hai
giriya nikle hai teri bazm se mujh kohaye! k rone pe ikhtiyar nahi hai
ham se abas hai guman-e-ranjish-e-khatirkhak mein ushshaq ki gubar nahi hai
dil se utha lutf-e-jalwa haye manigair-e-gul aina-e-bahar nahi hai
qatl ka mere kiya hai ahad to barewaye! agar ahad ustawar nahi hai
tu ne qasam maikashi ki khai hai 'Ghalib'teri qasm ka kuch aitabar nahi hai
2
ah ko chahiye ik umr asar hone takkaun jita hai teri zulf k sar hone tak
dam har mauj mein hai halqa-e-sadkam-e-nahangdekhen kya guzare hai qatre pe gauhar hone tak
ashiqi sabr-talab aur tamanna betabdil ka kya rang karun khun-e-jigar hone tak
ham ne mana k taaful na karoge lekinkhak ho jayenge ham tum ko khabar hone tak
3
aina kyun na dun k tamasha kahen jiseaisa kahan se laun k tujhsa kahen jise
hasrat ne la rakha teri bazm-e-khayal meinguldasta-e-nigah suweda kahen jise
phunka hai kisne goshe muhabbat mein ai Khudaafsun-e-intazar tamanna kahen jise
sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliyewo ek musht-e-khak k sahra kahen jise
hai chashm-e-tar mein hasrat-e-didar se nihanshauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise
darkar hai shiguftan-e-gul haye aish kosubh-e-bahar panba-e-mina kahen jise
"ghalib" bura na man jo waiz bura kaheaisa bhi koi hai k sab acha kahen jise
4
amad-e-khat se hua hai sard jo bazar-e-dostdud-e-shama-e-kushta tha shayad khat-e-rukhsar-e-dost
ai dil na aqabat andesh zabt-e-shauq karkaun la sakta hai tab-e-jalwa-e-didar-e-dost
khana wiransazi-e-hairat tamasha kijiyesurat-e-naqsh-e-qadam hun rafta-e-raftar-e-dost
ishq main bedad-e-rashq-e-gair ne mara mujhekushta-e-dushman hun akhir garche tha bimar-e-dost
chashm-e-may raushan k us bedard ka dil shad haidida-e-pur-khun hamara sagar-e-sar-shar-e-dost
5
arz-e-niyaz-e-ishq k qabil nahi rahajis dil pe naz tha mujhe wo dil nahi raha
jata hun dag-e-hasrat-e-hasti liye huehun shamma-e-kushta darkhur-e-mahfil nahi raha
marne ki ai dil aur hi tadbir kar k mainshayan-e-dast-o-bazu-e-qatil nahi raha
ba-ru-e-shash jihat dar-e-ainabaz haiyan imtiaz-e-nakis-o-qamil nahi rahaa
wa kar diye hain shauq ne band-e-naqab-e-husngair az nigah ab koi hail nahi raha
go main raha rahin-e-sitam haye rozgarlekin tere khayal se gafil nahi raha
dil se hawa-e-kisht-e-wafa mit k wanhasil siwaye hasrat-e-hasil nahi raha
bedad-e-ishq se nahi darta magar 'Asad'jis dil pe naz tha mujhe wo dil nahi raha
6
bahot sahi gam-e-geti sharab kam kya haigulam-e-saqi-e-kausar hun mujhko gam kya hai
tumhari tarz-o-rawish jante hain ham kya hairaqib par hai agar lutf to sitam kya hai
sukhan mein khama-e-Galib ki atashfashaniyaqin hai hamko bhi lekin ab us mein dam kya hai
7
bas k dushwar hai har kam ka asan honaadmi ko bhi mayassar nahi insan hona
giriya chahe hai kharabi mere kashane kidar-o-diwar se tapak hai bayaban hona
wa-e-diwangi-e-shauq k har dam mujh koap jana udhar aur ap hi hairan hona
jalwa azbas k taqaza-e-nigah karta haijauhar-e-aina bhi chahe hai mizagan hona
ishrat-e-qatlgah-e-ahal-e-tamanna mat puchid-e-nazzara hai shamshir ka uriyan hona
le gaye khak mein ham dag-e-tamanna-e-nishattu ho aur ap basadrang-e-gulistan hona
ishrat-e-para-e-dil, zakhm-e-tamannakhanalazzat-e-rish-e-jigar garq-e-namakdan hona
ki mere qatl k bad us ne jafa se taubahaye us zodpasheman ka pasheman hona
haif us char girah kapre ki qismat 'ghalib'jis ki qismat mein ho ashiq ka gareban hona
8
bazicha-e-atfal hai duniya mere agehota hai shab-o-roz tamasha mere age
ik khel hai aurang-e-suleman mere nazdikik bat hai ejaz-e-masiha mere age
juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzurjuz waham nahi hasti-e-ashiya mere age
hota hai nihan gard mein sehra mere hoteghista hai jabin khak pe dariya mere age
mat puch k kya hal hai mera tere pichetu dekh k kya rang hai tera mere age
sach kahte ho khudbin-o-khudara hun na kyon hunbaitha hai but-e-aina sima mere age
phir dekhiye andaz-e-gulafshani-e-guftarrakh de koi paimana-e-sahba mere age
nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzrakyon kar kahun lo nam na us ka mere age
iman mujhe rok hai jo khinche hai mujhe kufrkaba mere piche hai kalisa mere age
ashiq hun pe mashuqfarebi hai mera kammajnun ko bura kahti hai laila mere age
khush hote hain par wasl mein yun mar nahi jateai shab-e-hijaran ki tamanna mere age
hai maujzan ik qulzum-e-khun kash! yahi hoata hai abhi dekhiye kya-kya mere age
go hath ko jumbish nahi ankhon mein to dam hairahne do abhi sagar-o-mina mere age
hampesha-o-hammasharab-o-hamraz hai mera'ghalib' ko bura kyon kaho acha mere age
9
bazicha-e-atfal hai duniya mere agehota hai shab-o-roz tamasha mere age
ik khel hai aurang-e-suleman mere nazdikik bat hai ejaz-e-masiha mere age
juz nam nahi surat-e-alam mujhe manzurjuz waham nahi hasti-e-ashiya mere age
hota hai nihan gard mein sehra mere hoteghista hai jabin khak pe dariya mere age
mat puch k kya hal hai mera tere pichetu dekh k kya rang hai tera mere age
sach kahte ho khudbin-o-khudara hun na kyon hunbaitha hai but-e-aina sima mere age
phir dekhiye andaz-e-gulafshani-e-guftarrakh de koi paimana-e-sahba mere age
nafrat ka guman guzre hai main rashk se guzrakyon kar kahun lo nam na us ka mere age
iman mujhe rok hai jo khinche hai mujhe kufrkaba mere piche hai kalisa mere age
ashiq hun pe mashuqfarebi hai mera kammajnun ko bura kahti hai laila mere age
khush hote hain par wasl mein yun mar nahi jateai shab-e-hijaran ki tamanna mere age
hai maujzan ik qulzum-e-khun kash! yahi hoata hai abhi dekhiye kya-kya mere age
go hath ko jumbish nahi ankhon mein to dam hairahne do abhi sagar-o-mina mere age
hampesha-o-hammasharab-o-hamraz hai mera'ghalib' ko bura kyon kaho acha mere age
10
be-aitadaliyon se subuk sab mein ham huejitne ziyada ho gaye utne hi kam hue
pinhan tha dam sakht qarib ashiyan kurne na paye the k giraftar ham hue
hasti hamari apni fana par dalil haiyan tak mite k ap ham apni qasam hue
sakhtikashan-e-ishq ki puche hai kya khabarwo log rafta-rafta sarapa alam hue
teri wafa se kya ho talafi ki dahar meintere siwa bhi ham pe bahut se sitam hue
likhte rahe junun ki hikayat-e-khunchakanharchand is mein hath hamare qalam hue
Allah re! teri tundi-e-khu jis k bim seazza-e-nala dil mein mere rizqe-ham hue
ahal-e-hawas ki fatah hai tark-e-nabard-e-ishqjo panw uth gaye wo hi un k alam hue
nal-e-adam mein chand hamare supurd thejo wan na khinch sake so wo yan aa k dam hue
chori 'Asad' na ham ne gadai mein dillagisail hue to ashiq-e-ahal-e-karam hue
11
chahiye achon ko jitna chahiyeye agar chahen to phir kya chahiye
sohbat-e-rinda se wajib hai hazarja-e-mai apne ko khencha chahiye
chahne ko tere kya samjha tha dilbare ab is se bhi samjha chahiye
chak mat kar jeb be ayyam-e-gulkuch udhar ka bhi ishara chahiye
dosti ka parda hai beganagimunh chupana ham se chora chahiye
dushmani main meri khoya gair kokis qadar dushman hai dekha chahiye
apni ruswai main kya chalti hai saiyar hi hangama ara chahiye
munhasir marne pe ho jis ki umidnaumidi us ki dekha chahiye
gafil in mah talaaton k wastechahne wala bhi acha chahiye
chahte hain khubruon ko asadap ki surat to dekha chahiye
12
dard minnat kashe-dawa na huamain na acha hua, bura na hua
jama karte ho kyon raqibon koik tamasha hua gila na hua
ham kahan qismat azmane jayentu hi jab khanjar azma na hua
kitne shirin hain tere lab k raqibgaliyan khak bemaza na hua
hai khabar garm un k ane kiaj hi ghar mein boriya na hua
kya wo namard ki khudai thibandagi mein mera bhala na hua
jan di, di hui usi ki thihaq to yun hai k haq ada na hua
zakhm gar dab gaya lahu na thamakam gar ruk gaya rawa na hua
rahzani hai k dilsitanee hailek dil, dilsitan rawa na hua
kuch to parhiye k log kahte hainaj 'ghalib' gazalsara na hua
13
dayam para hua tere dar par nahi hun mainkhak aisi zindagi pe k paththar nahi hun main
kyun gardish-e-mudam se ghabra na jaye dilinsan hun, pyala-o-sagar nahi hun main
yarab! zamana mujh ko mitata hai kis liyelauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hun main
had chahiye saza mein uqubat k wasteakhir gunahgar hun, kafir nahi hun main
kis waste aziz nahi jante mujhelal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahi hun main
rakhte ho tum qadam meri ankhon se kyun daregrutbe mein mahr-o-mah se kamtar nahi hun main
karte ho mujhko mana-e-qadambos kis liyekya asman k bhi barabar nahi hun main
'ghalib' wazifakhwar ho, do shah ko duawo din gaye ki kahte the "naukar nahi hun main"
14
dekhna qismat k ap apne pe rashk a jaye haimain use dekhun bhala kab mujhse dekha jaye hai
hath dho dil se yahi garmi gar andeshe mein haiabgina tundi-e-sahaba se pighala jaye hai
gair ko yarab wo kyon kar mana-e-gustakhi karegar haya bhi usko ati hai to sharma jaye hai
shauq ko ye lat k hardam nala khenche jaiyedil k wo halat k dam lene se ghabara jaye hai
dur chashm-e-bad teri bazm-e-tarab se wah wahnagma ho jata hai wan gar nala mera jaye hai
garche hai tarz-e-tagaful pardadar-e-raz-e-ishqpar ham aise khoye jate hain k wo pa jaye hai
uski bazmaraiyan sunkar dil-e-ranjur yanmisl-e-naqsh-e-mudda-e-gair baitha jaye hai
ho k ashiq wo parirukh aur nazuk ban gayarang khulta jaye hai jitna k urata jaye hai
naqsh ko us k musawwir par bhi kya kya naz haikhenchta hai jis qadar utna hi khinchta jaye hai
saya mera mujhse misl-e-dud bhage hai 'Asad'pas mujh atishba-jan k kis se thahra jaye hai
15
dhota hun jab main pine ko us simtan k paonrakhta hai zid se khench kar bahar lagan k paon
di sadagi se jan parun kohkan k paonhai hat kyon na tut gae pirazan k paon
bhage the ham bahut so usi ki saza hai yehokar asir dabte hain rahzan k paon
marham ki justaju mein phira hun jo dur-durtan se siwa figar hain is khasta tan k paon
Allah re zauq-e-dashtanwardi k baade-marghilte hain khud-ba-khud mere andar kafan k paon
hai josh-e-gul bahar mein yan tak k har tarafurte hue ulajhte hain murg-e-chaman k paon
shab ko kisi k khwab mein aya na ho kahindukhte hain aj us but-e-nazukbadan k paon
'ghalib' mere kalam mein kyon kar maza na hopita hun khusro-e-shirinsukhan k paon
16
dil-e-nadan tujhe hua kya haiakhir is dard ki dawa kya hai
ham hain mushtaq aur wo bezarya ilahi ye majara kya hai
main bhi munh mein zaban rakhta hunkash pucho k mudda kya hai
jab k tujh bin nahi koi maujudphir ye hangama, ai Khuda kya hai
ye pari chehra log kaise haingamaza-o-ishwa-o-ada kya hai
shikan-e-zulf-e-ambari kyon hainigah-e-chashm-e-surma sa kya hai
sabza-o-gul kahan se aye hainabr kya chiz hai hawa kya hai
hamko unse wafa ki hai ummidjo nahi jante wafa kya hai
han bhala kar tera bhala hogaaur darwesh ki sada kya hai
jan tum par nisar karta hunmain nahi janta dua kya hai
main ne mana k kuch nahi 'ghalib'muft hath aye to bura kya hai
17
dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aye kyunroenge ham hazar bar koi hamein sataye kyun
dair nahi haram nahi dar nahi astan nahibaithe hain rahguzar pe ham gair hamein uthaye kyun
jab wo jamal-e-dilfaroz, surat-e-mahr-e-nimarozap hi ho nazrasoz, parde mein munh chupaye kyun
dashna-e-gamza jansitan, nawak-e-naz bepanahtera hi aks-e-rukh sahi, samane tere aye kyun
qaid-e-hayat-o-band-e-gam asl mein donon ek hainmaut se pahle admi gam se najat paye kyun
husn aur us pe husn-e-zan rah gai bulahawas ki sharmapne pe etimad hai gair ko azamaye kyun
wan wo guroor-e-izz-o-naz yan ye hijab-e-pas wazarah mein ham milen kahan, bazm mein wo bulayen kyun
han wo nahi khudaparast, jao wo bewafa sahijisko ho din-o-dil aziz, us ki gali mein jaye kyun
"ghalib"-e-khasta k bagair kaun se kam band hainroie zar-zar kya, kijie haye-haye kyun
18
dil mera soz-e-nihan se bemuhaba jal gayaatish-e-khamosh k manind goya jal gaya
dil mein zauq-e-wasl-o-yad-e-yar tak baki nahiag is ghar mein lagi aisi k jo tha jal gaya
main adam se bhi pare hun warna gafil! barhameri ah-e-atshin se bal-e-anqa jal gaya
arz kije jauhar-e-andesha ki garmi kahankuch khayal aya tha wehshat ka k sehra jal gaya
dil nahi, tujh ko dikhta warna dagon ki baharis charagan ka, karun kya, karfarma jal gaya
main hun aur afsurdagi ki arazu "Ghalib"! k dildekh kar tarz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya
19
dil se teri nigah jigar tak utar gaidonon ko ik ada mein razamand kar gai
shaq ho gaya hai sina khusha lazzat-e-faragtakleef-e-pardadari-e-zakhm-e-jigar gai
wo bada-e-shabana ki saramastiyan kahanuthiye bas ab k lazzat-e-khwab-e-sahar gai
urti phire hai khak meri ku-e-yar meinbare ab ai hawa, hawas-e-bal-o-par gai
dekho to dil farebi-e-andaz-e-naqsh-e-pamauj-e-khiram-e-yar bhi kya gul katar gai
har bulahawas ne husn parasti shiar kiab abaru-e-shewa-e-ahal-e- nazar gai
nazzare ne bhi kam kiya wan naqab kamasti se har nigah tere rukh par bikhar gai
farda-o-din ka tafarruqa yak bar mit gayakal tum gae k ham pe qayamat guzar gai
mara zamane ne 'Asadullah khan" tumhenwo walwale kahan, wo jawani kidhar gai
20
diya hai dil agar us ko, bashar hai kya kahiyehua raqib to ho, namabar hai, kya kahiye
ye zid, k aj na awe aur aye bin na raheqaza se shikwa hamein kis qadar hai, kya kahiye
rahe hai yun gah-o-begah k ku-e-dost ko abagar na kahiye k dushman ka ghar hai, kya kahiye
zih-e-karishma k yun de rakha hai hamko farebk bin kahe hi unhen sab khabar hai, kya kahiye
samajh k karte hain bazar mein wo pursish-e-halk ye kahe ki sar-e-rahguzar hai, kya kahiye
tumhen nahi hai sar-e-rishta-e-wafa ka khayalhamare hath mein kuch hai, magar hai kya kahiye
unhen sawal pe zaom-e-junun hai, kyun lariyehamein jawab se qata-e-nazar hai, kya kahiye
hasad saza-e-kamal-e-sukhan hai, kya kijesitam, baha-e-mataa-e-hunar hai, kya kahiye
kaha hai kisne k "ghalib" bura nahi lekinsiway isak ki ashuftasar hai kya kahiye
21
donon jahan de k wo samjhe ye khush rahayan a pari ye sharm ki takrar kya karen
thak thak k har maqam pe do char rah gayetera pata na payen to nachar kya karen
kya shama k nahin hai hawa khwah ahal-e-bazmho gam hi jan gudaz to gamkhwar kya karen
22
dost gamkhwari main meri sai farmayenge kyazakhm k bharne talak nakhun na barh jayenge kya
beniyazi had se guzri banda parwar kab talakham kahenge hal-e-dil aur ap farmayenge kya
hazrat-e-naseh gar ayen dida-o-dil farsh-e-rahkoi mujh ko ye to samjha do k samajhayenge kya
aj wan teg-o-kafan bandhe hue jata hun mainuzr mera qatl karne main wo ab layenge kya
gar kiya naseh ne ham ko qaid acha yon sahiye junun-e-ishq k andaz chut jayenge kya
khana zad-e-zulf hain zanjir se bhagenge kyahain giraftar-e-wafa zindan se ghabarayenge kya
hai ab is mamure main qahat-e-gam-e-ulfat asadham ne ye mana k dilli main rahe khayenge kya
23
ek ek qatre ka mujhe dena para hisabkhun-e-jigar wadiat-e-mishagan-e-yar tha
ab main hun aur matam-e-yak shahar-e-arazutora jo tu ne aina timsal dar tha
galiyon main meri nash ko khenche phiro k mainjan dad-e-hawa-e-sar-e-rahguzar tha
mauj-e-sarab-e-dasht-e-wafa ka na puch halhar zarra misl-e-jauhar-e-teg abdar tha
kam jante the ham bhi gam-e-ishq ko par abdekha to kam hue pa gam-e-rozgar tha
24
gai wo bat k ho guftagu to kyonkar hokahe se kuch na hua phir kaho to kyonkar ho
hamare zahan main is fikr ka hai nam wisalk gar na ho to kahan jayen ho to kyonkar ho
adab hai aur yahi kashmakash to kya kijehaya hai aur yahi gomago to kyonkar ho
tumhin kaho k guzra sanam paraston kabuton ki ho agar aisi hi khu to kyonkar ho
uljhte ho tum agar dekhte ho ainajo tum se shahar main ho ek do to kyonkar ho
jise nasib ho roz-e-siyah mera sawo shakhs din na kahe rat ko to kyonkar ho
hamain phir un se umid aur unhen hamari qadrhamari bat hi puche na wo to kyonkar ho
galat na tha hamain khat par guman tasalli kana mane dida-e-didar ju to kyonkar ho
batao us misha ko dekhkar ho mujh ko qararyah nesh ho rag-e-jan main faro to kyonkar ho
mujhe junun nahin Galib wale baqaul-e-huzurfiraq-e-yar main taskin ho to kyonkar ho
25
gair len mahfil mein bose jam kham rahen yun tashnalab paigam k
khastagi ka tum se kya shikwa k yehathakande hain charkh-e-nili fam k
khat likhenge garche matlab kuch na hoham to ashiq hain tumhare nam k
rat pi zam-zam pe may aur subh-damdhoe dhabbe jama-e-ehram k
dil ko ankhon ne phansaya kya magarye bhi halqe hain tumhare dam k
shah k hai gusl-e-sehat ki khabardekhiye din kab phiren hammam k
ishq ne 'ghalib' nikamma kar diyawarna ham bhi adami the kam k
26
bargashta-e-yazdan se kuch bhul hui haibhatke hue insan se kuch bhul hui hai
ta hadd-e-nazar shole hi shole hain chaman meinphulon k nigehban se kuch bhul hui hai
jis ahad mein lut jaye faqiron ki kamaius ahad ke sultan se kuch bhul hui hai
hanste hain meri surat-e-maftun pe shagufemere dil-e-nadan se kuch bhul hui hai
huron ki talab aur mai-o-sagar se hai nafratzahid tere irfan se kuch bhul hui hai
27
gam-e-duniya se gar pai bhi fursat sar uthane kifalak ka dekhna taqrib tere yad ane ki
khulega kis tarah mazmun mere maktub ka yarabqasam khai hai us kafir ne kagaz k jalane ki
lipatna paraniyan main shola-e-atish ka asan haiwale mushkil hai hikmat dil main soz-e-gam chupane ki
unhen manzur apne zakhmiyon ka dekh ana thauthe the sair-e-gul ko dekhna shokhi bahane ki
hamari sadagi thi iltafat-e-naz par marnatera ana na tha zalim magar tamahid jane ki
laqad-kob-e-hawadis ka tahammul kar nahin saktimeri taqat k zamin thi buton k naz uthane ki
kahun kya khubi-e-auzag-e-ibna-e-zaman "Ghalib"badi ki usne jis se hamne ki thi barha neki
28
ghar hamara, jo na rote bhi, to wiran hotabahr gar bahr na hota to bayaban hota
tangi-e-dil ka gila kya, ye wo kafir dil haik agar tang na hota, to pareshan hota
bad-e-yak umr-e-wara, bar to deta barekash rizwan hi dar-e-yar ka darban hota
29
ghar jab bana liya hai tere dar par kahe bagairjanega ab bhi tu na mera ghar kahe bagair
kahte hain, jab rahi na mujhe taqat-e-sukhanjanun kisi k dil ki main kyunkar kahe bagair
kam us se a para hai k jisaka jahan meinlewe na koi nam sitamagar kahe bagair
ji mein hi kuch nahi hai hamare wagarna hamsar jaye ya rahe na rahen par kahe bagair
chorunga main na us but-e-kafir ka pujanachore na khalq go mujhe kafir kahe bagair
maqsad hai naz-o-gamza wale guftagu mein kamchalta nahi hai, dashna-o-khanjar kahe bagair
har chand ho mushahida-e-haq ki guftagubanti nahi hai bada-o-sagar kahe bagair
bahra hun main to chahiye duna ho iltfatsunta nahi hun bat muqarrar kahe bagair
"ghalib" na kar huzur mein tu bar-bar arzzahir hai tera hal sab un par kahe bagair
30
hai bas k har ik un k ishare mein nishan aurkarte hain muhabbat to guzarta hai guman aur
ya rab wo na samjhe hain na samajhenge meri batde aur dil un ko jo na de mujhko zuban aur
abaru se hai kya us nigah -e-naz ko paibandhai tir muqarrar magar us ki hai kaman aur
tum shahar mein ho to hamein kya gam jab uthengele ayenge bazar se jakar dil-o-jan aur
har chand subukdast hue butshikni meinham hain to abhi rah mein hai sang-e-giran aur
hai khun-e-jigar josh mein dil khol k rotahote kai jo dida-e-khunnabafishan aur
marta hun is awaz pe har chand sar ur jayejalad ko lekin wo kahe jaye k han aur
logon ko hai khurshid-e-jahan tab ka dhokahar roz dikhata hun main ik dag-e-nihan aur
leta na agar dil tumhen deta koi dam chainkarta jo na marta koi din ah-o-fugan aur
pate nahi jab rah to char jate hain nalerukti hai meri taba to hoti hai rawan aur
hain aur bhi duniya mein sukhanawar bahut achekahte hain ki 'Ghalib' ka hai andaz-e-bayan aur
31
hairan hun dil ko roun k pitun jigar ko main
maqadur hun to sath rakhun nauhagar ko main
chora na rashk ne k tere ghar ka nam lun
har ek se puchta hun k jaun kidhar ko main
jana para raqib k dar par hazar bar
ai kash janta na teri rahguzar ko main
hai kya jo kas k bandhiye meri bala dare
kya janta nahi hun tumhari kamar ko main
lo wo bhi kahte hain k ye benang-o-nam hai
ye janta agar to lutata na ghar ko main
chalta hun thori dur har ik tez rau k sath
pahchanta nahi hun abhi rahbar ko main
khwahish ko ahmaqon ne parastish diya qarar
kya pujta hun us but-e-bedadagar ko main
phir bekhudi mein bhul gaya rah-e-ku-e-yar
jata wagarna ek din apni khabar ko main
apne pe kar raha hun qiyas ahal-e-dahar ka
samjha hun dil pazir mata-e-hunar ko main
"ghalib" Khuda kare k sawar-e-samand-e-naz
dekhun ali bahadur-e-aliguhar ko main
32
ham rashk ko apne bhi gawara nahin karte
marte hain wale un ki tamanna nahin karte
dar parda unhen gair se hai rabt-e-nihani
zahir ka ye parda hai k parda nahin karte
yah bais-e-naumidi-e-arbab-e-hawas hai
Galib ko bura kahte ho acha nahin karte
33
har ek bat pe kahte ho tum k tu kya hai
tumhin kaho k ye andaz-e-guftagu kya hai
na shole mein ye karishma na barq mein ye ada
koi batao ki wo shokh-e-tundakhu kya hai
ye rashk hai k wo hota hai hamsukhan hamse
wagarna khauf-e-badamozi-e-ad kya hai
chipak raha hai badan par lahu se pairahan
hamari jeb ko an hajat-e-rafu kya hai
jala hia jism jahan dil bhi jal gaya hoga
kuredate ho jo ab rakh justaju kya hai
ragon mein daurate phirne k ham nahi qayal
jab ankh hi se na tapka to phir lahu kya hai
wo chiz jis k liye ham ko ho bahisht aziz
siwae bada-e-gulfam-e-mushkabu kya hai
piyun sharab agar khum bhi dekh lun do char
ye shisha-o-qadah-o-kuza-o-subu kya hai
rahi na taqat-e-guftar aur agar ho bhi
to kis ummid pe kahiye k arazu kya hai
bana hai shah ka musahib, phire hai itarata
wagarna shahar mein "ghalib" ki abaru kya hai
34
hazaron khwahishen aisi k har khwaish pe dam nikle
bahut nikle mere arman lekin phir bhi kam nikle
dare kyun mera qatil kya rahega usaki gardan par
wo khun jo chashm-e-tar se umr bhar yun dam-ba-dam nikle
nikalna khuld se adam ka sunte aye hain lekin
bahut be-abaru hokar tere kuche se ham nikle
bharam khul jaye zalim tere qamat ki darazi ka
agar is turra-e-purapech-o-kham ka pech-o-kham nikle
magar likhwaye koi us ko khat to hamase likhawaye
hui subah aur ghar se kan par rakkhar qalam nikle
hui is daur mein mansub mujhse bada-ashmi
phir aya wo zamana jo jahan se jam-e-jam nikle
hui jinse tawaqqo khastagi ki dad pane ki
wo hamse bhi ziyada khasta-e-teg-e-sitam nikle
muhabbat mein nahi hai farq jine aur marne ka
usi ko dekh kar jite hain jis kafir pe dam nikle
zara kar jor sine par ki tir-e-pursitam nikle
jo wo nikle to dil nikle jo dil nikle to dam nikle
Khuda k waste parda na kabe se utha zalim
kahi aisa na ho yan bhi wahi kafir sanam nikle
kahan maikhane ka darwaza 'ghalib' aur kahan waiz
par itna jante hain kal wo jata tha k ham nikle
35
hui takhir to kuch bais-e-takhir bhi thaap ate the magar koi inangir na tha
tum se beja hai mujhe apni tabahi ka gilaus main kuch shaib-e-khubi-e-taqdir bhi tha
tu mujhe bhul gaya ho to pata batla dunkabhi fitrak main tere koi nakhchir bhi tha
qaid main hai tere wahshi ko wahi zulf ki yadhan kuch ek ranj-e-garanbari-e-zanjir bhi tha
bijli kaund gai ankhon k age, to kyabat karte, k main lab tashna-e-taqrir bhi tha
yusuf us ko kahun aur kuch na kahe, khair huigar bigar baithe to main layaq-e-ta'zir bhi tha
dekh kar gair ko kyun ho na kaleja thandanala karta tha wale talib-e-tasir bhi tha
peshe main aib nahin, rakhiye na farhad ko namham hi ashufta-saron main wo jawan 'Meer' bhi tha
ham the marne ko khare pas na aya na sahiakhir us shaukh k tarkash main koi tir bhi tha
pakre jate hain farishton k likhe par nahakadmi koi hamara dam-e-tahrir bhi tha
rekhta k tumhin ustad nahin ho "Ghalib"kahte hain agle zamane main koi 'meer' bhi tha
36
husn-e-mah garche bahangam-e-kamal acha haius se mera mah-e-khurshid-e-jamal acha hai
bosa dete nahi aur dil pe hai har lahja nigahji mein kahte hain muft aye to mal acha hai
aur bazar se le ayen agar tut gayasagar-e-jam se mera jam-e-sifal acha hai
betalab den to maza usmen siwa milta haiwo gada jisko na ho khu-e-sawal acha hai
un k dekhe se jo a jati hai munh par raunaqwo samajhte hain k bimar ka hal acha hai
dekhiye pate hain ushshaq buton se kya faizik birahman ne kaha hai k ye sal acha hai
hamsukhan teshe ne farhad ko shirin se kiyajis tarah ka bhi kisi mein ho kamal acha hai
qatra darya mein jo mil jaye to darya ho jayekam acha hai wo jiska maal acha hai
khijr sultan ko rakhe khaliq-e-akbar sarsabzshah k bag main ye taza nihal acha hai
hamko malum hai jannat ki haqiqat lekindil k khush rakhne ko Ghalib ye khayal acha hai
37
husn gamze k kashakash se chuta mere badbare aram se hai ahl-e-jafa mere bad
mansab-e-sheftagi k koi qabil na rahahui mazuli-e-andaz-o-ada mere bad
shama bujhti hai to us mein se dhuan uthta haishola-e-ishq siyahposh hua mere bad
khun hai dil khak mein ahwal-e-butan par, yaniunk nakhun hue mohtaj-e-hina mere bad
darkhur-e-arz nahi jauhar-e-bedad ko janigah-e-naz hai surme se khafa mere bad
hai junun ahl-e-junun k liye agosh-e-widachaq hota hai gareban se juda mere bad
kaun hota hai harif-e-mai-e-mard-afgan-e-ishqhai mukarrar lab-e-saqi pe sala mere bad
gam se mata hun k itna nahi dunya mein koik kare taziyat-e-mehar-o-wafa mere bad
aye hai bekasi-e-ishq pe rona 'Ghalib'kisk ghar jayega sailab-e-bala mere bad
38
ibn-e-mariym hua kare koimere dukh ki dawa kare koi
shura-o-ain par madar sahiaise qatil ka kya kare koi
chal jaise kadi kaman ka tirdil main aise k ja kare koi
bat par wan zuban katti haiwo kahen aur suna kare koi
bak raha hun junun main kya kya kuchkuch na samjhe Khuda kare koi
na suno gar bura kahe koina kaho gar bura kare koi
rok lo gar galat chale koibakhsh do gar khata kare koi
kaun hai jo nahi hai hajatmandkiski hajat rawa kare koi
kya kiya khijr ne sikandar seab kise rahnuma kare koi
jab tawaqqo hi uth gayi "Ghalib"kyon kisi ka gila kare koi
39
ishq mujhko nahi wahshat hi sahimeri wahshat teri shohrat hi sahi
qata kije na talluq ham sekuch nahi hai to adawat hi sahi
mere hone mein hai kya ruswaiye wo majlis nahi khalwat hi sahi
ham bhi dushman to nahi hain apnegair ko tujh se mohabbat hi sahi
apni hasti hi se ho jo kuch hoagahi gar nahi gaflat hi sahi
umr har chand ki hai barq-e-khiramdil k khun karne ki fursat hi sahi
ham koi tarq-e-wafa karte hainna sahi ishq musibat hi sahi
kuch to de ai falak-e-nainsafah-o-fariyad ki rukhsat hi sahi
ham bhi taslim ki khu dalengebeniyazi teri adat hi sahi
yar se cheda chali jaye "Asad"gar nahi wasl to hasrat hi sahi
40
ishq tasir se naumed nahijan supari shajr-e-bed nahi
sultnat dast-ba-dast ai haijam-e-mai khatam-e-jamshed nahi
hai tajalli teri samne wajudjara be partawe khurshid nahi
raz-e-mashuq na ruswa ho jayewarna mar jane mein kuch bhed nahi
gardish-e-rang-e-tarab se dar haigam-e-mahrumi-e-jawed nahi
kahte hain jite hain ummid pe logham ko jine ki bhi ummid nahi
41
kab wo sunta hai kahani meriaur phir wo bhi zabani meri
khalish-e-gamza-e-khunrez na puchdekh khunbafishani meri
kya bayan kar k mera royege yarmagar ashufta-bayani meri
hun zikhud rafta-e-baida-e-khayalbhul jana hai nishani meri
mutaqabil hai muqabil meraruk gaya dekh rawani meri
qadr-e-sang-e-sar-e-rah rakhta hunsakht arzan hai girani meri
dahan us ka jo na malum huakhul gai hao chamandani meri
kar diya zof ne ajiz "Ghalib"nang-e-piri hai jawani meri
42
kabhi neki bhi us k ji main a jaye hai mujhsejafayen kark apni yad sharma jaye hai mujhse
Khudaya! Jazba-e-dil ki magar tasir ulti haik jitna khenchta hun aur khinchta jaye hai mujhse
wo bad khu aur meri dastan-e-ishq tulaniibarat mukhtasar, qasid bhi ghabra jaye hai mujhse
udhar wo badgumani hai, idhar ye natawani haina pucha jaye hai usse, na bola jaye hai mujhse
sanbhalne de mujhe ae naumidi, kya qayamat haik damane khayale yar chuta jaye hai mujhse
takalluf bar taraf nazzaragi mein bhi sahi, lekinwo dekha jaye, kab ye zulm dekha jaye hai mujhse
hue hain paon hi pahle nabard-e-ishq mein zakhmina bhaga jaye hai mujhse, na thahra jaye hai mujhse
qayamat hai k hoe muddai ka hamsafar Ghalibwo kafir, jo Khuda ko bhi na saunpa jaye hai mujhse
43
kahte ho na denge ham dil agar para payadil kahan k gum kije hamne muddaa paya
ishq se tabiat ne zist ka maza payadard ki dawa pai dard-e-bedawa paya
dostdar-e-dushman hai etimad-e-dil malumah beasar dekhi nala narasa paya
sadagi-o-purkari bekhudi-o-hoshiyarihusn ko tagaful main juraat azama paya
guncha phir laga khilne aj ham ne apna dilkhun kiya hua dekha gum kiya hua paya
hal-e-dil nahin malum lekin is qadar yaniham ne bara dhunda tum ne bara paya
shor-e-pand-e-naseh ne zakhm par namak chirkaap se koi puche tum ne kya maza paya
44
ki wafa hamse to gair use jafa kahte hainhoti ai hai k achon ko bura kahte hain
aj ham apni pareshani-e-khatir un sekahne jate to hain, par dekhiye kya kahte hain
agle waqton k hain ye log, inhen kuch na kahojo may-o-nagmein ko andohruba kahte hain
dil mein a jae hai, hoti hai jo fursat gash seaur phir kaun se nale ko rasa kahte hain?
hai par-e-sarhad-e-idrak se apna masjudqible ko, ahal-e-nazar, qiblanuma kahte hain
pa-e-afgar pe jab se tujhe raham aya haikhar-e-rah ko tere ham mehr-e-giya kahte hain
ik sharar dil mein hai, us se koi ghabrayga kyaag matalub hai hamako, jo hawa kahate hain
dekhiye lati hai us shokh ki nakhwat kya rangus ki har bat pe ham nam-e-Khuda khate hain
wehshat-o-shefta ab marsiya kahwen shayadmar gaya "Ghalib"-e-ashuftanawa kahte hain
45
kisi ko dek dil koi nawsanj-e-fugan kyon hona ho jab dil hi sine main to phir munh main zuban kyon ho
wo apni khu na chorenge ham apni waza kyon badlensubuksar banak kya puchen k ham se sargiran kyon ho
kiya gamkhwar ne ruswa lage ag is muhabbat kona laye tab jo gam ki wo mera razdan kyon ho
wafa kaisi kahan ka ishq jab sar phorna thahrato phir ai sangdil tera hi sang-e-astan kyon ho
qafas mein mujh se rudad-e-chaman kahte na dar hamdamgiri hai jis pe kal bijli wo mera ashiyan kyon ho
ye kah sakte ho ham dil mein nahi hain par ye bataok jab dil main tumhin tum ho to ankhon se nihan kyon ho
galat hai jazba-e-dil ka shikawa dekho jurm kiska haina khincho gar tum apne ko kashakash darmiyan kyon ho
ye fitna admi ki khanawirani ko kya kam haihue tum dost jisk dushman uska asman kyon ho
yahi hai azmana to satana kis ko kahte hainadu k ho liye jab tum to mera imtihan kyon ho
kaha tumne k kyon ho gair k milne mein ruswaibaja kahte ho sach kahte ho phir kahiyo k han kyon ho
nikla chahta hai kam kya tanon se tu "Ghalib"tere bemahar kahne se wo tujh par meharban kyon ho
46
koi din gar zindagani aur haiapne ji mein hamne thani aur hai
atish-e-dozakh mein ye garmi kahansoz-e-gam hai nihani aur hai
barha dekhin hain un ki ranjishenpar kuch ab k sargirani aur hai
dek khat munh dekhta hai namabarkuch to paigam-e-zabani aur hai
qata-e-amar hai aksar nujumwo bala-e-asmani aur hai
ho chukin "Ghalib" balayen sab tamamek marg-e-nagahani aur hai
47
koi ummid bar nahi atikoi surat nazar nahi ati
maut ka ek din muayyan hainind kyon rat bhar nahi ati
age ati thi hal-e-dil pe hansiab kisi bat par nahi ati
janta hun sawab-e-tahat-o-zahadpar tabiyat idhar nahi ati
hai kuch aisi hi bat jo chup hunwarna kya bat kar nahi ati
kyon na chikhun k yad karte hainmeri awaz gar nahi ati
dag-e-dilgarnazar nahi atabu bhi ai charagar nahi ati
ham wahan hain jahan se ham ko bhikuch hamari khabar nahi ati
marte hain arzu mein marne kimaut ati hai par nahi ati
kaba kis munh se jaoge 'Ghalib'sharm tumko magar nahi ati
48
kyonkar us but se rakhun jan azizkya nahin hai mujhe iman aziz
dil se nikla pa na nikla dil sehai tere tir ka paikan aziz
tab laye hi banegi 'Ghalib'baqia sakht hai aur jan aziz
49
lazim tha k dekho mera rasta koi din aurtanha gaye kyon ab raho tanha koi din aur
mit jayega sar, gar tera paththar na ghisegahun dar pe tere nasiyafarsa koi din aur
aye ho kal aur aj hi kahte ho k jaunmana k hamesha nahi acha koi din aur
jate hue kahte ho qayamat ko milengekya khub! qayamat ka hai goya koi din aur
han ae falak-e-pir, jawan tha abhi arifkya tera bigarta jo na marta koi din aur
tum mah-e-shab-e-charduhum the mere ghar kphir kyon na raha ghar ka wo naqsha koi din aur
tum kaun se aise the khare dad-o-sitad kkarta malikulmaut taqaza koi din aur
mujhse tumhen nafrat sahi, nayyar se ladaibachon ka bhi dekha na tamasha koi din aur
guzri na baharhal ya muddat khushi-nakhushkarna tha jawanmarg! guzara koi din aur
nadan ho jo kahte ho k kyon jite ho 'Ghalib'qismat main hai marne ki tamanna koi din aur
50
maharban ho k bula lo mujhe chaho jis waqt main gaya waqt nahi hun k phir a bhi na sakun
zauf mein tana-e-agyar ka shikwa kya hai batkuch sar to nahi hai k utha bhi na sakun
zahar milta hi nahi mujhko sitamgar warnakya qasam hai tere milne ki k kha bhi na sakun
51
main unhen cherun aur kuch na kahenchal nikalte jo mai piye hote
qahar ho ya bala ho, jo kuch hokash k tum mere liye hote
meri qismat mein gam gar itna thadil bhi ya rab kai diye hote
a hi jata wo rah par 'Ghalib'koi din aur bhi jiye hote
52
mana-e-dasht nawardi koi tadbir nahinek chakkar hai mere paon main zanjir nahin
hasrat-e-lazzat-e-azar rahi jati haijadah-e-rah-e-wafa juz dam-e-shamshir nahin
ranj-e-na-ummidi-e-jawed gawara rahiyokhush hun gar nala zabuni kash-e-tasir nahin
sar khujata hai jahan zakhm-e-sar acha ho jayelazzat-e-sang ba-andaza-e-taqrir nahin
jab karam rukhsat-e-bebaki-o-gustakhi dekoi taqsir ba-juz khaslat-e-taqasir nahin
"Ghalib" apna ye aqida hai baqaul-e-nasikhap be-behra hain jo motaqid-e-mir nahin
53
maze jahan k apni nazar mein khak nahisiway khun-e-jigar, so jigar mein khak nahi
magar gubar hue par hawa ura le jayewagarna tab-o-tawan bal-o-par main khak nahi
ye kis bahishtshamail ki amad-amad haik gair jalwa-e-gul rahguzar main khak nahi
bhala use na sahi, kuch mujhi ko raham ataasar mere nafas-e-beasar main khak nahi
khayal-e-jalwa-e-gul se kharab hai maikashsharabkhane k diwar-o-dar main khak nahi
hua hun ishq ki garatgari se sharmindasiway hasrat-e-tamir ghar main khak nahi
hamare sher hain ab sirf dillagi k 'Asad'khula k fayeda arz-e-hunar mein khak nahi
54
milti hai khu-e-yar se nar iltihab meinkafir hun gar na milti ho rahat azab mein
kab se hun kya bataun jahan-e-kharab meinshab haye hijr ko bhi rakhun gar hisab mein
ta phir na intazar mein nind aye umr bharane ka ahad kar gaye aye jo khwab main
qasid k ate ate khat ik aur likh rakhunmain janta hun jo wo likhenge jawab mein
mujh tak kab un ki bazm mein ata tha daur-e-jamsaqi ne kuch mila na diya ho sharab mein
jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chalekyun badguman hun dost se dushman k bab mein
main muztarib hun wasl mein khauf-e-raqib sedala hai tum ko wahm ne kis pech-o-tab mein
mai aur hizz-e-wasl, khudasaz bat haijan nazr deni bhul gaya iztirab mein
hai tewri chari hui andar naqab khai ik shikan pari hui tarf-e-naqab mein
lakhon lagao, ik churna nigah kalakhon banao, ik bigrna itab mein
wo nala dil mein khas k barbar jagah na payejis nale se shigaf pare afatab mein
wo sehr mudda talbi mein na kam ayejis sehr se safina rawan ho sarab mein
'Ghalib' chuti sharab, par ab bhi kabhi kabhipita hun roz-e-abr-o-shab-e-mahtab mein
55
muddat hui hai yar ko mahman kiye huejosh-e-qadah se bazm charagan kiye hue
karta hun jama phir jigar-e-lakht-lakht koarsa hua hai dawat-e-mizshgan kiye hue
phir waza-e-ehtiyat se rukne laga hai dambarason hue hain chak gireban kiye hue
phir garmnala haye shararbar hai nafasmuddat hui hai sair-e-charagan kiye hue
phir pursish-e-jarahat-e-dil ko chala hai ishqsaman-e-sadhzar namakdan kiye hue
phir bhar raha hun khama-e-mizshgan bakhun-e-dilsaz-e-chamantarazi-e-daman kiye hue
bahamdigar hue hain dil-o-dida phir raqibnazara-o-khayal ka saman kiye hue
dil phir tawaf-e-ku-e-malamat ko jaye haipindar ka sanam kada wiran kiye hue
phir shauq kar raha hai kharidar ki talabarz-e-mata-e-aql-o-dil-o-jan kiye hue
daude hai phir har ek gul-o-lala par khayalsadgulsitan nigah ka saman kiye hue
phir chahta hun nama-e-dildar kholnajan nazar-e-dilfarebi-e-unwan kiye hue
mange hai phir kisi ko lab-e-bam par hawaszulf-e-siyah rukh pe pareshan kiye hue
chahe phir kisi ko muqabil mein arzusurme se tez dashna-e-mizshgan kiye hue
ik naubahar-e-naz ko tak hai phir nigahchehra furog-e-mai se gulistan kiye hue
phir ji mein hai k dar pe kisi k pare rahensar zer bar-e-minnat-e-darban kiye hue
ji dhundta hai phir wahi fursat k rat dinbaithe rahen tasawur-e-janan kiye hue
'Ghalib' hamain na cher k phir josh-e-ashk sebaithe hain ham tahayya-e-tufan kiye hue